Nikah(Marriage) Kaisi Ladki Se Karna Chahiye

ShereKhudaHazratAli.com

Nikah(Marriage) Kaisi Ladki Se Karna Chahiye | What to Look For in a Spouse Islam | What are the Qualities of the Perfect Woman for Marriage?

best woman to marry, Islamic Images, islamic wedding, nikah ki hadees, Nikah(Marriage) Kaisi Ladki Se Karna Chahiye, quran aur hadees, selection of spouse, shadi in islam, what to look for in a spouse islam, Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Radiallahu Anha, Hazrat Anas Bin Malik, Hazrat Abdullah ibne umar radiallahu anhu se Riwayat he ke Huzoor Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya..
"Apne Nutfe (Shadi ke liye) Achchi jagah talash karo.
apni Biradri me Byah ho, aur Biradri se byah kar lao ki Aurate Apne hi Kunbe ke Mushaba (Milte hue Bachche) Janti he."
(Ibne Majah Jild 1, Hadees no 2038, Safa 549, Bayhaqi Sharif wa Haaqim)

Hazrat Imam Bukhari Radiallahu Anhu Riwayat karte he ki
"Aur Must'hab (Behtar) He ke apni Nasl ke liye Behtar Aurat chune Lekin ye Wajib nahi."
(Bukhari Sharif Jild 3, Bab no 41, Safa 56)

Hazrat Abu Huraira wa Hazrat Jabir Radiallaho Anhu se Riwayat He Ke Nabi E Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Ne irshad farmaya:
"Aurat se 4 chizo ki wajah se nikah kiya jata he
1. Uska Maal
2. Husn wa Jamal
3. Uska Khandan
4. Uske Deendar hone ki wajahse.
Lekin tu Deendar Aurat Ko Hasil Kar"
(Bukhari Sharif Jild 3, Safa 59, Tirmizi Sharif, Jild 1, Safa 555)
[ads-post]
Huzoor-E-Akram (Sallallaho Alayhi Wasallam) Ne Irshad Farmaya:
"Aurato Se Unke Husn Ke Sabab Shaadi Na Karo Ho Sakta Hai Uska Husn Tumhe Tabah Karde, Na Uske Maal Ki Wajah se Shaadi Karo Ho Sakta Hai Ke Unka Maal Tumhe Gunaho Me Mubtela Karde, Balki Deen Ki Wajah se Nikah Kiya Karo, Kali, Chapti, Badsurat Londi Agar Deendar Ho To Behtar Hai."
(Ibne Maja, Jild 1, Hadees No 1926, Safa 522)

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.