Hazrat Umar Farooq RA Ka Hairat Angez Faisla

ShereKhudaHazratAli.com

♥●»Hazrat Umar Farooq R.A Ka Hairat Angez Faisla or Nasihat«•♥

HIQAYAT:
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ke Zamane May Ek Yahudi Aur Ek Munafiq May Kisi Baat Per Zhagda Paida Hogaya! Yahudi Chahta Tha Ki Jis Tarah Bhi Ho Main Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Le Chalu!


Hazrat Umar Farooq RA Ka Hairat Angez Faisla, Islamic Images, Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, hazrat umar farooq ka waqia in urdu, hazrat umar farooq ka insaaf, hazrat umar farooq quotes, khalifa of islam
Chunanche, Wo Koshish Karke Use Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Bargah-A-Adalat May Le Aaya! Huzoor Ne Waqiya Sunker Faisla Yahudi Ke Haq May De Diya! Wo Munafiq Yahudi Se Kehne Laga Ki Main Umar Ke Paas Chalunga Aur Unka Faisla Manzoor Karunga! Yahudi Bola, Ajab Ulte Aadmi Ho, Koi Badi Adalat Se Hoker Choti Adalat May Bhi Jata Hain? Jab Tumahre Paighamber Mohammad (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM) Faisla De Chuke Ab Umar Ke Paas Jane Ki Kya Zarurat Hain? Magar Wo Munafiq Na Maana Aur Us Yahudi Ko Leker Hazrat Umar Ke Paas Aaya Aur Hazrat Se Faisla Talab Karne Laga!

Yahudi Bola, Janab! Pehle Yeh Baat Soon Lijiye Ki Ham Isse Pehle Mohammad (SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIhI-WASALLAM) Se Faisle Leker Aaye Hain! Unohne Faisla Mere Haq May Diya Hain! Magar Yeh Shaks Us Faisle Per Mutmayin Nahi Aur Ab Yahan Aapke Paas Aa Pahucha Hain! Hazrat Umar Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ne Yeh Baat Suni To Aapne Farmaya, Accha Tehro! Main Abhi Aaya Aur Abhi Tumahra Faisla Karta Hoon!

Yeh Kehker Aap Ander Tashrif Legaye Aur Fir Ek Talwar Leker Nikle Aur Us Munafiq Ki Gardhan Per Yeh Kehte Hue Maar Di Ki Jo Huzoor Ka Faisla Na Maane Uska Faisla Yeh Hain!
[ads-post]
Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Tak Yeh Baat Pahuchi To Aapne Farmaya, Wakayi Umar Ki Talwar Kisi Momin Per Nahi Uthti! Uske Baad Fir ALLAH-TA'AALA Ne Bhi Yeh Aayat Naazil Farma Di!

🌷"Tere Rab Ki Kasam! Yeh Log Kabhi Momin Nahi Hosakte Jabtak Tumhe Ya Rasoolallah Apna Haakim Na Maane Aur Tera Faisla Taslim Na Karen!"🌷
(Tarikhul Khulfa, Pg-88)

SABAK:
Hazrat Umar Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ka Is Baat Per Yakin Tha Ki Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Haakim-A-Aala Hain! Unka Faisla Hi Momin Keliye Wajibul-Amal Hain! Jo Unka Faisla Taslim Na Kare Wo Mujrim Hain!

Yeh Bhi Malum Hua Ki Hazrat Umar Radi-Allahu-Ta'aala-Anhu Ke Amal Ki Rasoolallah SALLALLAHU-TA'AALA-ALAIHI-WASALLAM Bhi Taayid Farmate Hain Aur Khuda Bhi Taayid Farmata Hain!

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.