HAZRAT BAYAZID BASTAMI RA AUR QURB-E-ILAHI

ShereKhudaHazratAli.com
HAZRAT BAYAZID BASTAMI RA AUR QURB-E-ILAHI, bastam, iran, Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, hazrat bayazid bastami waqia, hazrat bayazid bastami story, bayazid bastami story in urdu, islamic stories, Inside View of Bayazid Bastami R.A  Grave
Inside View of Bayazid Bastami R.A
Grave
Ek dafa Aap ne farmaya ke, Mai ne dekha ke sab se pehle mera batin Aasmano per lejaya gaya maine kisi cheez ki taraf nigah na ki-, Jannat or Dozakh dikhaye gaye uss taraf bhi nigah na ki-,  Moujudat or Hijabaat se guzra gaya unki taraf bhi istefath na kia-, Uss waqt mai ek parinda ban gaya tha-, jis ka jism 'Ahdiat ka or uske baal wa parr 'dayamiat ke the-,

Mai Zaat e Haq ki mohabbat me musassil parwaz karta raha yahan tak ke mukham e 'Tanziyah' se guzra or 'Azliat' ke maidan se musharaf hua-, Aur wahan maine 'Ahdiyat ke darakht dekhe phir jub maine nigah dali toh waha sab kuch 'main' hi 'main' tha-,

Uss waqt mai ne munajat ki ke, Aye Khuda ! Meri 'Khudi ko tera raasta nahi milta-, mujhe apni Khudi se nikalne ki koi nazar nahi aati-, meri rehnumai farma, ab mujhe kya karna chahiye?

Farman e haq aaya ke Aye Bayazid ! Tumhari apni Khudi se nijaat hamare dost aur mehboob (yani Mohammad ﷺ) ki mu-ta'abiat se wabasta hai -, Unke Khadam mubarak ke nichey ki khaakh ko apni Ankho ka surma banawo aur unki pairwi me hamesha masroof raho-.

Ye hikayat bohot taweel hai... Ahle tariqat isko Bayazid Rahmatullahi Alihi ki 'Mairaj kehte hai-, Meiraj se unki murad Qurb E Haq hai-.
(Kashful Mahjoob-urdu Safa : 334)

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.