Muharram-ul-Haram or Ashura ke roze ki fazilat

ShereKhudaHazratAli.com

Muharram-ul-Haram or Ashura ke roze ki fazilat

  • Hazrat Sayyiduna Abu Hurayrah radiallahu anhu say riwayat hay Huzoor-e-Akram, Shaafi’i-e-Umam sallallahu alaihi wasallam farmatey hayn: Ramazan kay ba’d Muharram ka roza afzal hay or farz Namaz kay ba’d afzal Namaz Salat-ul-layl (ya’ni raat kay nawafil) hai. 
    (Sahih Muslim, Safha. 891 Hadees. 1163)
  • Allah kay Habib sallallahu alaihi wasallam ka farman e rahmat nishan hay: Muharram kay har din ka roza aik mahinay kay rozo kay barabar hay.
    (Tabarani fi Sagheer, jild. 2, Safha.87, Hadees. 1580)
  • Hazrat Sayyiduna Abdullah Ibn-e-Abbas radiallahu ta'ala anhu farmate hain: Mene Sultan-e-Do Jahan, Rahmat Aalamyaan sallallahu alaihi wasallam ko kisi din kay roze ko aur din per fazeelat dayker justuju fermatay na daykha magar ye Ashura ka din aur ye kay Raamzan ka mahina.
    (Sahih Bukhari, jild. 1, Safha. 657 Hadees. 2006)
  • Nabi-e-Rehmat, Tajdar-e-Risalat sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya: Yaum-e-Ashura ka rozah rakho aur is may yahudiyon ki mukhalafat karo, is say pahlay ya ba’d may bhi aik din ka rozah rakho.
    (Musnad imam Ahmad, jild. 1 Safha. 518 Hadees. 2154)
    Note: Aashurah ka Roza jab bhi rakhay to sath hi 9 or 11 Muharram ka roza bhi rakh lena behtar hay.
  • Hazrat Sayyiduna Abu Qatadah radiallahu anhu say riwayat hay: Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam farmata hain: Mujhe Allah azzawajal per ghuman hay kay Ashura ka roza ek saal qabal kay gunah mita dayta hay.
    (Sahih Muslim, Safha. 590 Hadees. 1162)

Sara Saal Aankhen Dukhe na Beemar Ho :

Allah, ashura, ashura ke roze ki fazilat, farman hazrat muhammad, hadith, muharram, Muharram-ul-Haram or Ashura ke roze ki fazilat, quran aur hadees, roza, sahih muslim, fasting on ashura, sunni, shia
Mufassir-e-Shaheer Hakim-ul-Ummat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan alaihi rahmatul mannan farmatay hayn: Muharram ki 9 or 10 ko rozah rakhay to bahut sawab paye ga. Baal bacho kay liye 10 Muharram ko khoob achay achay khana pakaye to Insha'allah azzawajal saal bhar tak ghar may barakat rahay gi behtar hay kay khichra paka ker Hazrat Shaheed-e-Karbala Imam Husain ki fatihah karay bahut mujarrab (Ya’ni Mua`ssir-o-Aazmudah) hay. Is tareekh ya’ni 10 Muharram-ul-Haram ko ghusal karay to tamam saal beemariyon say aman rahay ga kyun kay is din Ab-e-Zam Zam tamam paaniyo may pohanchta hay.
(Tafseer Rooh-ul- Bayan, jild. 4, Safha. 142, Islami Zindagi, Safha. 93)

Sarwar-e-Kainat sallallahu alaihi wasallam nay irshad farmaya: Jo shakhs Yaum-e-Aashurah Ismad Surma Ankhaun may lagaye to uski Ankhayn kabhi bhi na dukhayn gi. (Shu’ab-ul-Iman, jild. 03, safha. 367 Hadees. 3797)

Related Post :

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.