Abortion in Islam | Kya Islam Me Hamal Girana Jayiz Hai?

ShereKhudaHazratAli.com

ABORTION (Hamal Girana)

Kya Islam Main Hamal Girana (Abortion) Jayiz Hai ?
Abortion in Islam, Kya Islam Me Hamal Girana Jayiz Hai, abortion in islam, quran aur hadees, nikah, bacha zaya karne ka gunah, abortion kab jaiz hai, abortion ka gunah, when is abortion allowed in islam, pregnancy khatam karne ki dawa, islamic view on condoms,
Hamal Giraane k Liye Dawayi ( Medecine ) Iste'maal Karna Ya Daayi ( Doctor, Nurse, Maid Etc ) Se Hamal Saaqit karwana ( Yaani Hamal Girwana ) Man'a ( Nahi Kar Sakte ) Hai.

Bachche ki Surat ( Pet Mein ) Bani Ho Ya Na Bani ho Dono ka Kukm Ek Hi Hai. Haan Agar Uzr Majburi Ho Masalan Aurat Ka Doodh (Milk) Pita Bachcha Hai Aur Baap ke paas itna Paisa nahi k Doodh pilane wali ka Intizaam kar sake, Ya paisa to hai lekin doodh pilane wali milti nahi aur hamal ka doodh khushk ho sakta hai ( sookh jayega ) aur bachche ke halaak ( maut ) hone ka Andesha dar hai To Is Majboori se hamal saaqit ( giraana ) kiya jaa sakta hai. Ba-Sharte ke uske Aa'za ( bachche k body parts ) na bane hon..aur aaza banne ki muddat 120 din hai.
[Bahaare Shari'at Hissa 16]
[Iyaadat aur ilaaj ka bayaan - Mas-ala no. 15]


Alahazrat Imam Ahmed Raza Khan Fazile Bareli Farmate hain Aurat kisi tarah Ma'azallaah Haraam Mein Mubtala Huwi ( Zina ) Aur Us Ne Uski Parda Poshi Ke Liye Abortion Kara Diya, Jab Ke Bachche Mein Jaan Nahi Padi Thi To Jayeez Hai Bal ke Parda Poshi Amre Hasan ( Karni Chahiye ) Hai.
[Fataawa Razwiya: 6/512]
[ads-post] Alahazrat farmate hain ke Agar Abhi Bachcha Nahi Bana To Jayeez Hai ( abortion ) Warna Na-Jayeez Hai k Ye ( Hamal Girana ) Be-Gunah Ka Qatal (Murder) Hai aur 4 Mahine Mein Bachcha Ban Jaata Hai.
[Fataawa Razwiya..24/201]

Alahazrat farmate hain Jaan Pad Jaane ( 4 Mahine ) K Bad Abortion Karana Haraam Hai Aur Esa Karna Qatal (Murder) Karne Ki Tarah Hai Aur Jaan Padne Se Pehle Agar Koi Zarurat Ho To Haraj Nahi ( Karwa Sakte Hai ).
[Fataawa Razwiya..24/207]

Alahazrat Farmate Hain Baanjh Karna Na Karna Allaah Azza wa Jalla Ke Ikhteyaar Mein Hai Bashar ki Taaqat nahi ( و يجعل من يشاء عقيما: وہ جسکو چاہے بانجھ کردے ), Haan Esi Dawai Ka Iste'maal Jis Se Hamal Na Hone Paaye Agar Kisi Shar'an Qaabile Qabool Sakht Zarurat o Majboori Ke Sabab Ho To Haraj Nahi. ( dawa le sakte hai ), Warna Sakht Ma'yoob ( Bura Kaam Na-Pasand-Didah ) Hai Aur Shar'an Esa Karna ( Hamal Na Rehne Ki Dawayi (Medicine) Khana ) Na-Jayeez aur Haraam Hai.
[Fatawa Razwiya..24/208]
  • Isi Se Nifaas Ka Yeh Mas-ala bhi Pata Chala ke 4 Mahine Se Qabl ( Pehle/Before ) Abortion ho to Nifaas Nahi. Istehaaza ( Bimaari Ka Khoon Hai, Namaz bhi Padhni Hogi ) hoga.
  • Aur Agar uske ba'd ( 4 Mahine K Baad/After ) Abortion ho to Nifaas Hoga Kyun Ke Nifaas Usi Khoon Ko Kehte Hain Jo Bachche Ki Paidayish ( Pet se Baaher Aane / Birth ) Ke Ba'd Aata Hai.

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.