Hazrat Muhammad ﷺ ki Shan-o-Shaukat wa Fazilat

ShereKhudaHazratAli.com
Hazrat Muhammad, Shan, Shaukat, Fazilat, Prophet, Importance of prophet muhammad, madina, mecca, islam, wallpaper, huzoor sallallahu alaihi wasallam ki zindagi hindi, Hadees, hadith
Hazrat Sauban Radiallahu Anhu se riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
"Me Khtamun Nabiyyin hu. Mere bad koi Nabi nahi hoga"
(Abu Dawood, Tirmizi, Mishkat Safa 465)

Hazrat Abu Huraira Radiallahu anhu ne kaha ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya:
"Rasoolo ka silsila muz par khatam kar diya gaya".
(Bukhari, Muslim, Mishkat Safa 511)

Hazrat Irbaz ibne Sariya Radiallahu anha se riwayat he. Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya, "Khuda ke nazdik us waqt khatmun Nabiyyin likha gaya jab ki hazrat Aadam Alayhissalam apni Gundi hui mitti me the. (Yani unka putla us waqt tak tayyar na hua tha)
(Mishkat Safa 513)

Hazrat Abu huraira radiallaho anhu se riwayat he ki Hazrat Muhammad Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya, is darmiyan me so raha tha maine dekha ki Zamin ke khazano ki Kujiya layi gayi aur aur mere dono hatho me rakhi gayi.
(Bukhari, Muslim, Mishkat Safa 512)

Hazrat ibne Abbas Radiallahu anhu se riwayat he ki Hazrat Muhammad Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad Farmaya, Me subse pehle shafa'at karunga aur meri shafa'at subse pehle Kubool ki jayegi aur muze us par fakra nahi.
(Daarmi, Mishkat Safa 514)
[ads-post]
Hazrat Jaabir ibne Sumra Radiallahu anhu ne farmaya ki maine Sarkar Sallalaho Alayhi Wasallam ko chandni rat me dekha.
To kabhi me Huzoor ki taraf dekhta aur kabhi chand ki taraf.
Huzoor us waqt lal kapda pehne hue the.
(Aakhir maine faisla kiya ki) wah chand se badh kar Khubsoorat he
(Tirmizi, Daarmi, Mishkat safa 517)

Hazrat Anas Radiallahu anhu ne farmaya ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ka rang raushan aur chamakdar tha aur Huzoor ka pasina mubarak jaise MOTI tha. Aur kisi Diba wa Resham ke kapade ko maine Huzoor ki Mubarak Hatheliyo se Narm nahi paya aur maine koi aisa Mushk wa Ambar nahi sunghha jiski khushboo Huzoor ke Jism Mubarak ki khushboo se badh kar ho.
(Bukhari, Muslim, Mishkat Safa 516)

Hazrat Jaabir Radiallahu Anhu se Riwayat he ki Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam jab kisi raste se gujarte fir Huzoor ke bad jo bhi us raste se gujarta to Huzoor ke Pashna Mubarak ki Mehek se jan leta ki Huzoor idhar se tashrif le gaye he.
(Daarmi, Mishkat Safa 517)

Nisbat e Rasool ﷺ Ki Fazilat :

MERE NABI E PAK صلی اللہ علیہ وسلم ke Daman Me Hazrat Abu Bakar Aaye To Siddique e Akbar Ban Gaye,
Hazrat Umar Aaye To Farooq e Aazam Ban Gaye,
Jab Hazrat Usman Aaye To Usman E Gani Zunnurain ( Do Noor Wale) Ban Gaye,
Hazrat Ali Aaye To Sher E Khuda Ban Gaye.
Hazrat Khalid Aaye To Saifullah (Allah Ki Talvar) Ban Gaye,
Hazrat Muaviyah Aaye To Ameer E Muaviyah Ban Gaye,

Ye Wo Shakhsiyate Hain Jinhone Qaisar o Kisra Ko Hara kar Unke Guroor Ko Paash-Paash Kar Diya, Roomiyo Ki Qamar Todi, Aur Apne Akhlaq Se Dunya Ko Islam Se Roshan Kiya,

Hazrate Siddique E Akbar Ko 8 Jannat Ke Darwaze Apne Andar Jannat Me Dakhil Hone Ke Liye Pukarte Hai.
Farooq E Aazam Jahan Se Guzarte Wahan Se Shaitan Nahi Guzarta,
Hazrat Usman E Gani Ki Sharm O Haya Ko Dekh Kar Aasman Par Farishte Unse Sharm Karte Hain,
Hazrat Ali Ilm O Hiqmat Ke Wo Khazana Hain Ki Unko Ilm Ka Darwazaa Kaha Jata Hai.""(RADIALLAHU TA'ALA ANHU)

Imam E Ahle Sunnat Alahazrat Kya Khub Farmate Hain :

"Laa Wa Rabbil Arsh jisko jo mila Unsemila

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.