Maa Ke Shikam Se Bacche Ka Gawahi Dena - Khwaja Garib Nawaz Ki Karamat

ShereKhudaHazratAli.com

Maa Ke Shikam Se Bacche Ka Gawahi Dena - Shaan e Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz R.A

Maa Ke Shikam Se Bacche Ka Gawahi Dena - Khwaja Garib Nawaz Ki Karamat, Ajmer to Delhi, Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, Karamat e Khwaja Gareeb Nawaz, karamat of khwaja garib nawaz in hindi, Khwaja Qutbuddin Bakhtiyar Kaki, Sarkar Khwaja Gareeb Nawaz Ki Karamat,
Ek din Khwaja Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki aur Sultan Shamshuddin Altamas shahi qile ki sair farma rahe they, wahañ bahot se umra wa arakeen e saltanat bhi maujood the ke itne mein ek badkaar haamila aurat haazir ho kar kehne lagi, 

"Khudara aap mera nikah kara dijiye main bade azaab mein hu."

Badshah ne kaha, kisse nikah karau aur tu kya azaab mein hai ? Usne nihayat gustakhana andaz mein Qutb Sahab ki taraf ishara karte huwe kaha mere peit mein inka hamal hai!

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyaar Kaaki رضي الله عنه sharm se paseena passena ho gaye! Badshah aur tamaam umra par sakta taari ho gaya! Hazrat Qutb Sahab ne fauran apne peero murshid Sarkaar Khwaja Gareeb Nawaz  رضي الله عنه ki taraf tawajjoh ki! Sarkaar Gareeb Nawaz رضي الله عنه uss waqt Ajmer sharif mein jalwa afroz they. Itne mein kya dekhte hai ki Sarkaar e Khwaja ba nafs e nafees  waha maujood hai aur hazireen ne badh kar qadambosi ki. 
[ads-post]
Aapne Qutb Sahab se pucha ji tumne mujhe yaad kyu kiya? Aap munh se kuch na keh sake albatta aankhon se ashk behne lage. Sarkaar e Khwaja muhabbat se tadap uthe aur farmaya,

Aye badkaar haamila tu khud hi sun, phir aurat ke shikam ki taraf mutawajjoh ho kar farmaya, Aye peit ke bacche tu hi bata! Teri maa Qutb Sahab ko tera baap batati hai kya yeh sach hai?

Peit se bacche ne jawab diya Huzur! yeh bilkul galat hai ye aurat badi makkar aur faahisha hai mein hargiz Qutb Sahab ka beta nahi hu.

Phir uss badkaar aurat ne qubul kiya ki Qutb Sahab ke dushmano ne ilzam lagane ke liye usse bheja tha

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.