Short Biography - Hazrat Imam Hasan Radiallahu Anhu

ShereKhudaHazratAli.com
"BE ADAB GUSTAK FIRKO KO SUNA DE E HASAN
YU KIYA KARTE HE SUNNI DASTANE AHLE BAIT"
Tomb Imam Hasan R.A, Mazar Imam Hasan r.a, fatima, imam bakar, imam sadik, sunni, shia muslim, sunni, jannatul baqi, madina
Name: Hasan (AS) - the 2nd Holy Imam
Title: al-Mujtaba
Agnomen: Abul-Mohammad
Father: Imam Ali (AS) - the 1st Holy Imam
Mother: Hazrat Fatima Az-Zahra (SA) bint-e-Mohammad Rasool-Allah(pbuh&hf)
Birth: At Madina on 15th of Ramzan 3 AH (624 AD)
Shahadat (Death): In Madina at age 47, on 28th of Safar 50 AH (670 AD)
Cause of Death/ Burial: Martyred by means of poison and buried in the cemetery of Baqi in Madina.

Wiladat (Birth) :

Hazrat Imam Hasan Mujtaba Radiallahu Anhu Ki Wiladat 15 Ramzan ul Mubarak Hijri San 3 Me Madeena Shareef Me Hui Thi.

➡ Aap Ki Kunniyat Abu Muhammad Aur Alkab Taqi Wa Sayyad Hai.

➡ Aap 12 Ayimma Me Se Dusre Imam Hai

➡ Hazrat Jibraeel Alayhissalam Aap Ke Naam Ko Jannat Se Ek Nihayat Umda Kapde Par Likh Kar Huzur Sallallahu Alaihi WaAalehi Wasallam Ki Khidmat Me Hadiyattan Laaye.

➡ Aap Shakal Wa Soorat Me Huzur Se Sar Se Paav Tak Huzur Sallallahu Alaihi WaAalehi Wasallam Se Mushabah The.

➡ Kanzul Ummal Wa Ibne Asakir Me Rivayat Hai Ki...
Huzur Sallallahu Alaihi WaAalehi Wasallam Imam Hasan Aur Imam Hussain Ke Baare Me Yu Dua Farmayi..
"Aye Allah ! Mai Inse Muhabbat Rakhta Hu Tu Bhi Inse Muhabbat Farma Aur Jo Inse Muhabbat Rakkhe Usse Bhi Tu Muhabbat Farma.

➡ Jab Imam Hasan Mujtaba Radiyallahu Anhu Ka Wisal Hua To Jab Aap Ki Jannatul Baki'a Me Madfan Ke Liye Le Gaye To Logo Ki Itni Tadad Wahan Thi Ki Sa'alba Bin Malik Kehte Hai ki Pura Jannatul Baki'a Qabristan Logo Se Bhar Gaya Tha Yahan Tak Agar Aasaman Me Se Ek Sui Fenki Jaaye To Zamin Par Naa Gire Balki Kisi Ke Sar Par Gire, Itna Bada Qabristan Bhi Is Tarah Bhar Gaya Tha.
Ba-Havala (Refrence By) :
-[ShavahidunNabuwwat Page : 300]
-[Tohfa E Najat Volume : 11 Page : 178, 215 ]
[ads-post]

Shaan Sehzad e Ali e Murtuza va Fatima Zehra Sarkar Saiyed Imam e Hasan R.A

Huzoor Sarwar e Kaunain ﷺ irshad farmate hain...
▶ Ibne Abbas riwayat farmate hai Ek bar RasulAllah ﷺ Imam e Hasan رضي الله عنه ko apne kandhe par bithaae huwe the, Kisi sahabi ne kaha aye Sahabzaade aapki Sawaari Bahot acchi hai to Aaqa ﷺ ne farmaya Sawaar bhi to accha hai.

▶ Imam e Hasan رضي الله عنه ne begair sawaari ke chal kar 25 hajj kiye jabh ke behtareen nasl ke ouñth (camel) aap ke saath hote the lekin aap un par sawaar nahi hote the aur paidal chalkar hajj karte the.

▶ Imam Hasan رضي الله عنه sakhawat (khairaat) karne mein be misaal the kabhi aisa bhi huwa ke ek ek aadmi ko ek ek laakh dirham ata farma dete the.  

▶ Imam e Hasan رضي الله عنه ne 3 baar aadha aadha maal khuda ki raah mein dediya aur 2 baar apna poora maal Allah ﷻ ke raaste mein kharch kar diya.
#Taareekh ul Khulfa.
Bitha Kar Shaanae Aqdas Pe Kardi Shaan Do Baala ,
Nabi ﷺ Ke Laadloñ Par Har Fazeelat Naaz Karti Hai.
Aapka urs e paak 28 Safar ko hai.

Related Biography of Famous Islamic Legends :

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.