Khwaja Moinuddin Chishti R.A Quotes in Roman Urdu Hindi

ShereKhudaHazratAli.com

Khwaja Moinuddin Chishti Quotes also known as Khwaja Garib Nawaz Quotes And Qol, Khwaja Moinuddin Chishti Sayings, Aqwal E Zareen Khwaja Moinuddin Chishti, Khwaja Moinuddin Chishti Qol Mubarak, Farman e Khwaja Garib Nawaz Etc.

Chiragh-e-Chisht | Khwaja-e-Khwajgan Sultan-ul-Hind | Khwaja Gharib Nawaz

Khwaja Moinuddin Chishti R.A Urf Khwaja Garib Nawaz Quotes and Sayings in Roman Urdu Hindi English, khwaja garib nawaz photo, wallpaper, image, ajmer sharif dargah photo, khwaja moinuddin chishti images, Ajmer Dargah Images, ajmer sharif, Rajasthan, India

Inspirational Life Quotes By Sahenshah e Hindustan Sarkar Khwaja Moinuddin Hasan Chishti Ajmeri Urs Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih:

  • Nafs Parasti Hi Asal Me But Parasti Hai, Isko Tark Karne K Bad Khuda Parasti Ki Manzil Shuru Hoti Hai.
    - Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih

  • Ye Na Dekh K Tu Khaak Ka Putla Hai Aur Kamzor Hai. Balke Ye Dekh K Tu Apne Mehboob (Us Zaat) Ke Jamal Ka Aaina Hai, Aur Wo Tujh Mein khud Jalwagar Hai.
    - Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih

  • "ख़्वाजा" ने दरिया बताया,
    "रज़ा" ने तैरना सिखाया,।
    "ख़्वाजा" ने शरीयत बतायी,
    "रज़ा" ने चलना सिखाया।
    ऐ सुन्नियों "कुर्बान जाओ अपने मुकद्दर पर,
    एक ने इस्लाम बताया तो एक ने इस्लाम बचाया।।।
    ना हम रसूल की "अता" को छोड़ेगें
    ना ही हम रसूल की "रज़ा" को छोड़ेगें।

  • Bhooke Ko Khana Kheelana, Hajat-Ravai Karna, Dushman Ko Muaf Karna Acche Nafs Ki Zeenat Hai.
    – Hazrat Khwaja Moin-Ud-Din Chishti (Rehmatullah Alaih) 

  • Kisi Ka Dil Na Dukhaao, Ho Sakta Hai Ke Woh Aansu Tumhari Sazaa Ban Jaye, Dukhiyon Ki Madad Karna Aur Unki Fariyad Sun’na Afzal Ibadat Hai.
    – Hazrate Khawaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alayh) 

  • Qalam-e-Ilahi Ko Dekhna Aur Parhna Dono Sawaab Hai, Agar Ek Harf Par Nazar Padey Tou 10 Nekiya Darj Ho Aur 10 Buraiya Door Ho.
    – Hazrate Khwaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alayh) 

  • Hazrat e Khwaja Garib Nawaz (Rehmatullah Alahi) Farmate Hai: “Apne Dil Ko Adawat Aur Nafrat Ke Jazbe Se Paak Rakho! Beshak Jab Log Kisi Khilaf-e-Shariat Baat Ko Dekhe Aur Usko Na Rokey Tou Anqarib Allah Unn Sab Par Apna Azabe-Aam Bhej Dega”. 

  • Gunah Kerne Mai Itna Nuqsaan Nahi Pahochta Jitna Kisi Musalman Bhai Ko Zaleel Khwar Kerne Se Pahochta He.
    - Khwaja Gareeb Nawaz RadiAllahu Ta'aala Anhu

  • Durveshi Woh Hai Jo Kisi Haajat-Mand Ko Mehroom Na Lautaye.
    - Hazrat Khwaja Moinuddin Chishty Rehmatullah Alaih

  • Sultan ul Hind Hazrat Khwaja Moinuddin Chishti Ajmeri Rehmatullah Alaih Ne Farmaya, "Jis Shaks Main Yeh 3 Khaslate Ho Allah Tabarak wa Ta'ala Use Dost Rakhta Hain.
    (1) Dariya Jesi Sakhawat (2) Aftab Jesi Safkat (3) Zameen Jesi Tawazo

  • Fakiri ka mustahik (Laayak) woh sakhs hota hai jo duniya-e-fani mein apne paas kuch na rakhe.
    - Ata e Rasool Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Bande par fakir ka shabd (Word) us waqt lagu hai ki jab aath saal (8 years) tak baye hath (left hand) ka farishta jo badi likhne wala hai uske Aamalnaame mein ek bhi badi na likhe.
    - Sahenshah e Hindustan Khawaja Moinuddin Chishti Rehtullah Alaih

  • Khuda ki sanakhat (pehchan) us sakhs ko hogi jo duniya walo se alag rahe aur khud ko bada na samjhe.
    - Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih

  • Khamosh aur gamgin rehna AARIFO ki ek alaamat (pehchan) hai.
    - Sultan ul Hind Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Puri Duniya Aur Kayenat-e-Aalam Ko Apni Do(2) Ungliyo Mein Dekhna "Irfan" Ka Ek Darja Hai.
    - Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih

  • Ahle Maarefat (Auliya Allah) Ayese Aaftaab Hai Jo Tamam Aalam Par Chaaye Hue Hai, Aur Tamam Aalam Unke Noor Se Roshan Hai.
    - Khwaja Moinuddin Hasan Chishti Ajmeri Rehmatullah Alaih
    [Akhbarul Akhyar Urdu Page No:55]

  • Buzurg Woh Hai Jo Apna Dil Dono Jahaan Se Utha Le Aur Har-Dam Aalam-e-Gaib Se Lakho Tajalliya Us Par Jahir Ho Aur Allah Ki Raah Mein Woh Allah Ke Siwa Kisi Se Madad Na Chahe.
    - Ata-E-Rasool Sarkar Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Namaz Momeen Ko Allah Ta'ala Se Milayegi, Iski Hifazat Puri Tarah Karni Chahiye.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Jo Sakhs (5)Pancho Waqt Pabandi Ke Sath Namaz Ada Karta Hai Qayamat Ke Din Uski Namaz Uski Hifazat Aur Nigehbani Karegi.
    - Hazrat Khwaja Moinuddin Chishty Rehmatullah Alaih

  • Jo Sakhs Fajr Ki Namaz Padh Kar Suraj Ugne Tak Usi Jagah Betha Rahe Aur Namaz e Ishraq Padh Kar Uthe to Haq Ta'ala Use Main Sattar Hazaar(70,000/Seventy Thousand) Aadmiyo Ke Jo Uske Ahl(Yogya) Ho Bakhs Deta Hai.
    - Khwaja Moinuddin Chishti Rehmatullah Alaih

  • (5)Panch Chizo Ka Dekhna Ibadat Hai Chahe Woh Chize Alag Alag Kyu Na Dekhi Jaye.
    1. Maa Baap Ko Dekhna
    2. Quran Majeed Ko Dekhna
    3. Allah Walo Ko Dekhna
    4. Khana-e-Kaba Ko Dekhna
    5. Apne Peer e Tarikat Ko Dekhna
    - Khwaja Moinuddin Hasan Chishti Sanjari Ajmeri Rehmatullah Alaih

  • Baaj(Kuch) Bazurgo Ne Sulook Ke 100(So/Hundred) Darje Mukarrar Kiye Hai, Unme Se Sattar(70/Seventy) Darje Tay Karne Ke Baad Kashf-wa-Karamat Ka Rutba Haasil Hota Hai, Jo Sakhs Apne Aapko Kashf-wa-Karamat Ke Darje Main Zaahir Nahi Karta, Woh Baaki 30(Tees/Thirty) Darje Bhi Tay Kar jata Hai. Bas, Buzurgo Ke Liye Jaroori Hai Ki Woh Apne Aapko Us Darje Main Zaahir Na Kare Aur Pure 100(So/Hundred) Darje Tay Karle.
    - Sultan ul Hind Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Hamare Khandaan-e-Sulook Ke 15(Pandrah/Fifteen) Darje Hai, 5(Panch) wa Darja Kashf-wa-Karamat Ka Hai. Hamare Buzurgo Ne Wasiyat Ki hai Ki Panch(5) ve Darje Par Hi na Thehre Balki Pure 15(Pandrah/Fifteen) Darje Hasil Karle.
    - Sultan ul Hind Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Ba-Wazu Rehne Ki Fazilat : Sultan ul Hind hazrat khwaja Moinuddin Chishti rehmatullah alaih ne irshad farmaya "Jo Shaks Ba-Wazu Sota Hai To Allah Tabarak wa Ta'ala Farishto ko hukm farmata hai Jab tak woh Bedaar Na Ho Us Ke Sarhane Khade Raho, Farishte Us Shaks Ke Sarhane Khade Ho Jate Hai Aur Us Ke Haq Main Dua Karte Hain Ke "Ae Parwardigar! Apne is Bande Par Apni Rehmat Nazil Farma Ke Yeh Neki wa Taharat Ke Sath Soya Hai."

    Jo Ba-Wadhu Rehta Hai Us Ki Rooh Zer e Arsh Tak Pahochti Hai. Allah Ka Koi Nek Banda Ba-wazu So Jaye to Farishte uski Rooh Ko Arsh Ke Niche Le Jate Hai. Waha Use Bargah e Ilahi Se Khil'ate Fakhrah (Yani Pesh Keemat Libas) Ata Hota Hai Aur Farishte Use Wapas Le Aate Hain.

  • Sunnat ki Pabandi : Sultan ul Hind Hazrat Khwaja Moinuddin chishti ajmeri rehmatullah alaih ne irshad farmaya, Hazrat Khwaja Fakee Abu Les samar Katee Irshad Farmate Hain Ke Har Roz Aasman se Do Farishte Zameen Par Aate Hain Ek Kabe Ki Chat Par Khada Ho Kar Pukarta Hai, "A Jino aur Insano Sunlo Ke Jo shaks Allah Tabarak wa ta'ala Ki Taraf Se Aaeed Karda Farayeez se Gaflat Karta Hai wo allah tabarak wa taala ki himayat aur panah se mehroom ho jaata hai". Dusra Farishta Rasool Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Roza e Athar par nazil hota hai aur pukarta hai, "A Logo Sun Lo Jo Shaks Rasool e Kareem Salllallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat Se Rugardani Kare Woh Kal Ba-Roz e Kayamat Aap ki Safa'at Se Mehroom Hoga".

  • Sarkaar e Garib Nawaz Rahmatullahi Ta'ala Alaihe Apne Peero Murshid Ke Hawale Se Farmate Hai :
    Maine MA’ARIFATUL MUREEDIN Mai Padha Hai Ke Hazrat Sheikh Khwaja Usman Harooni Rehmatullahi Ta’ala Alaihe Farmate Hai, Jo Shakhs Apne Peer Ki Khidmat Dilo Jaan Se Karta Hai Allah Ta’ala Usse Bagair Hisab Ke Jannat Mai Dakhil Karega Aur Uss Ko Motiyo(n) Ke 1000 Mahal Ataa Karega , 1000 Saal Ki Ibadat Ka Sawab Ataa Karega Aur 1000 Hoore Uss Ki Khidmat par Mamoor Ki Jayegi.

    Itna Bayaan Kar Ke Sarkaar e Khwaja e khajgaan Rahmatullahi Ta'ala Alaihe Ki Aankho(n) Se Ashq Behne Lage Aur Aap Ne Farmaya Ke Qayamat Ke Din Awliya , Siddiquin, Aur Mashaeekh e Tariqat Ko Qabro Se Uthhaya Jayega toh Un Ke Kandho Par Kamliya Padi Hongi. Har Kamli Ke Sathh Hazaaro Reshe Latakte Honge Un Buzurgo Ke Mureed Aur Aqeedatmand Un Resho Ko Pakad Kar Latak Jayenge Aur Un Ke Sathh Pulsirat Uboor Kar Ke Bahisht Mai Dakhil Ho Jayenge.
    [Sirat e Khwaja Ghareeb Nawaz Rahmatullahi Ta'ala Alaihe, Pg No.453]

  • Jo Banda Raat Ko Baa-Taharat Sota He To Farishte Gawah Rehte He Aur Subah Me Allah عزوجل Se Arz Karte He Ki Moula Ise Bakhsh De Ye Baa-Taharat Soya Tha.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Namaz Ek Raaz Ki Baat He Jo Banda Apne Rab Se Kehta He. Chunanche Hadees E Paak Me Aaya He Ki Namaz Padhne Wala Apne Rab Se Raaz Ki Baat Kehta He.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Jo Shakhsh Joothi Kasam Khata He Wo Apne Ghar Ko Viraan Karta He Aur Uske Ghar Se Khairo Barkat Uth Jati He.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Bad Bakhti Ki Alamat Ye He Ki Insan Gunah Karne Ke Baawajud Bhi Allah عزوجل Ki Bargah Me Khud Ko Maqbool Samjhe.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Naik Logo Ki Sohbat Nek Kaam Karne Se Behtar He. Aur Bure Logo Ki Sohbat Badi (Buraayi) Karne Se Bhi Badtar He.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih

  • Musibat-Zada Logo Ki Fariyad Sunna Aur Unka Sath Dena, Haajat Mando Ki Haajat Ravaayi Karna, Bhukho Ko Khana Khilana, Aseero Ko Qaid Se Choodana, Ye Baate Allah عزوجل Ke Nazdeek Bada Martaba Rakhti He.
    - Khwaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih
    [Hisht Bahisht Page-75]
    [Faizan E Khwaja Garib Nawaz Page-19]
    [Moin ul Hind Hazrat Khwaja Moinuddin Ajmeri, Page No-124]

  • Farman E Khawaja Garib Nawaz Rehmatullah Alaih, Koi Gunah Itna Nuksan Nahi Pahochayega Jitna Nuksan Tumhe Musalman Ki Be-izzati Karne Se Pahochega.
    [Akhbar ul Akhyar, Safa 23]

  • Mazil e Haq Ke Hasool Ke Liye Namaz Nihayat Zaroori Hai, Kyunki Momeen Ki Meraj Hi Namaz Hai.
    - Ata E Rasool Khwaja Garib Nawaz Rehmaullah Alaih

  • Bargah e Khudawand Mein Namaz Se Qurb Hasil Hota Hai, Namaz Abd o Ma'abud Ke Darmiyan Raaz Hai Or Meraj Ul Momineen Hai.
    - Khwaja Moinuddin Chishty Rehmatullah Alaih

Related Inspirational Islamic Quotes :

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.