SHAAN-E-GAUS-E-AAZAM RADI ALLAHU TAALA ANHU

ShereKhudaHazratAli.com
Biography, Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, Gaus e paak ki paidayish, Islamic Images, peerane peer ki Zinda Karamat, seerat e gaus e aazam, Shaan e Gaus e Aazam, baghdad, iraq
SHAAN-E-GAUS-E-AAZAM RADI ALLAHU TAALA ANHU
Wiladat E Gaus e Pak Mubarak 1 Ramadan.

SEERAT-E-GAUS E AAZAM:
Hazrat Sheikh Syedna Abdul Qadir Jeelani radiallahu ta’ala anhu
Alqab : Muhyuddeen, Sayyidul Auliya, Peeran e peer, Gause aazam, Shaikh e la-saani, Qutb e Rabbani, Mehboob e Subhani.

WALID AUR WALIDA:
Aap ke walid ka naam Hazrate Sayyed Abu Saleh Moosa Jangi-dost ibne Hazrat Abdullah Jeelani rehmatullahi alaihi
aur
walida ka naam Hazrate Ummul Khair Fatima binte Sayyed Abdullah Sawmai az-Zaid rehmatullahi alaihi hai.

Aap ke walid Hazrat Imam Hasan Musanna ibne Hazrat Imam Hasan Mujtaba Hazrat Ali radiallahu ta’ala anhu ki nasl se hain ya’ni Hasani saadat hain.
Aap ki walida Hazrat Imam Zain-ul Aabideen ibne Hazrat Imam Husain ibne Hazrat Ali radiallahu tala anhu ki nasl hain ya’ni Husaini saadat hain.

Sarkaar GAUS-e-AAZAM KI WILAADAT: 1-RAMZAN, Hijri : 470, (Jilaan, IRAN).
WISAAL: 17- RABIUL AAKHIR, Hijri : 561 (Bagdaad, IRAQ).
(SIRAAT-E-MUSTAQEEM)
[ads-post]
SarkaaR GAUS-e-AAZAM Paidaishi Wali The
Paida Hote Hi Aap Ne RAMZAN Ke Roze Rakhe
Aap Ki WILADAT Ke Waqt Apa Ki Walida Ki Umar 60 Saal Ki Thi.
JAB GAUS-E-PAK APNI MAA KE PAIT ME THE OR CHHINK AANE PAR JAB MAA "ALHAMDULILLAH" KEHTI To AAP JAWAB ME "YARHAMUKALLAH" KEHTE

Sarkaar GAUS-E-AAZAM KI JIS DIN WILADAT HUI US DIN
"JILAAN SHARIF" ME 1,100 BACHCHE PAIDA HUWE Aur WO SAB LADKE THE
Aur SAB ALLAH K WALI BANE (KUTUB-E-KASIRA)

SarkaR GAUS-E-AAZAM NE 15 SAAL TAK ROZANA ISHA SE FAJR KE DARMIYAN 1 QUR'AN-E-PAK KHATM FARMAYA
(AKHBARUL AKHYAAR)

SarkaR GAUS-E-AAZAM R.A 15 SAAL KE DAURAN AKSAR ROZE RAKHTE KABHI 3 DIN K BAAD IFTAAR FARMATE KABHI-KABHI 40 DIN TAK BINA KHAYE-PIYE REHTE
(AKHBARUL AKHYAR)

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.