Rajab ke Kunde aur Hamaara Tehqiqi Jawab

ShereKhudaHazratAli.com
imam jafar sadiq r.a ki niyaz, masayeel, khir kunde ki niyaz, fateha, esal e sawab, rajab, islami mahina, send blessings, rajab ki fazilat
22 Rajab Ko Barre Sageer (Hindustan (India), Pakistan Aur Bangladesh) Mein Ek Tyohaar Manaya Jaata Hai, Jise Hum “Kunde Ki Niyaz” Ya "Imam Jafar Sadiq Radiallahu Anhu Ki Niyaz" Ke Naam Se Jante Hai. To Aayiye Iski Sharayi Haqiqat Kya Hai Janne Ki Koshish Karte Hai.

Islami saal 60 Hijri ke 7we mahine Rajab ki 22 tarikh ko Allaah ke Rasool Sallallaahu Alaihi wa Sallam ke izzatdaar aur mash-hoor Sahaabi Syedna Hazrat Ameer Muawiya Radi allahu Anhu ki wafaat huwi. Apki umr sharif 78 saal huwi. Huzoor Sallallaahu Alaihi wa Sallam ki ek pyari biwi aur Musalmaano ki achchhi maa Hazrat Umm-e Habiba (asli naam "Ramla") apki sagi bahen hain, isi rishtey se "Masnawi" sharif mein Hazrat Allaama Jalaaluddin Roomi Rahmatullaahi Alaih ne apko Musalmaano ka maamu kaha hai.

Islami saal 148 Hijri ke 7we mahine Rajab sharif ki 15 tarikh ko Syedna Imam Jafar (laqab "Saadiq") ki shahaadat huwi, apko kisi dushman ne zehr diya. Syedna Imaam Husain ke bete Syeduna Imam Zainul Aabideen apke daada (grand father) aur Imam Muhammad (laqab "Baaqir") apke waalid hain (Radi allahu Anhum). Sunniyo ke Imam-e A'azam (badey Imam) Syeduna Imam Abu Hanifa (asli naam "Naumaan") Radhiyallaahu Anhu apke khaas shagird hain. Madina Tayyeba ke muqaddas qabristaan "Jannatul Baqee" mein apke waalid ke pahlu mein apka mazaar sharif hai.

Aksar Musalman 22 Rajab ko aur ba'z 15 Rajab ko kheer aur pooriya pakaakar aur koondo me rakhkar apki niyaaz karte hain, jisko koondo ki niyaaz kaha jaata hai, 2no jayez aur durust hain. Purey mahiney balke purey saal kisi bhi din, kisi bhi tarikh mein subah ya shaam kisi bhi waqt ye niyaaz ho sakti hai. 15 Rajab ko karna munaasib hai, ke ye apki shahaadat ki tarikh hai. Aur behtar hai ke 4, 15 ya 22 Rajab mein ya 3no tarikho mein Syeduna Hazrat Amir Muaawiya ki bhi niyaaz karein. Aur mo'tabar Ulama-e Ahl-e Sunnat ki kitaabo se kitaabo se apki seerat aur apki fazeelatein sunein aur sunayein, taake apke dushmano ki mukhaalafat ho.


Teeja, 10wa, 20wa, 40wa, 6 maahi, barsi, 11wi, 12wi, Rajab ke koondey ya kisi bhi buzurg ki niyaaz, sab eisaal-e sawaal (sawaab pahunchaane) ke nafli tariqe hain, jinke na jayez hone ki koi dalil nahi, karna behtar aur na karne mein koi gunah nahi. Din-tarikh aur waqt fix karke kiye jayein tab bhi durust aur saal ke kisi din kisi bhi tarikh aur kisi bhi waqt karein tab bhi durust.

[ads-post] Shari'at mein asl eisaal-e sawaab (sawaab pahunchana) hai, aur eisaal-e sawaab har Farz ibaadat (Namaaz, Roza, Hajj aur Zakaat) aur har Nafl (Namaaz, Roza, Sadqa, khairaat, Tilaawat, Kalma, Durood, Na'at, taqrir waghaira) balke har nek kaam ka ho sakta hai. Eisaal-e sawaab keliye Shari'at ki taraf se koi taakeed aur paabandi nahi, na waqt ki, na kisi khaas tariqe ki, aur na kisi chiz aur saamaan ki. Har halaal aur paak chiz par har niyaaz, har faatiha, aur har eisaal-e sawaab ho sakta hai, khud khayein to tabarruk (barkat aur shifa) aur 2sro ko khaana, kapda, paisa ya koi saaman dein to khairaat.

Sawaab ke kam ya ziyada hone, balke milne ya na milne mein insaan ke khuloos aur nek niyat ka dakhl hota hai, din-tarikh, tariqa, ya chiz aur saamaan badalne se sawaab nahi badalta. Inko zaruri ya Shari'at ki paabandi samajhna awaam ki jahaalat aur na jayez, shirk aur bid'at kehna deobandiyo, wahaabiyo waghaira ki gumraahi aur makkaari hai.


Rajab ki niyaaz ka tabarruk ya kisi bhi niyaaz aur faatiha ka tabarruk chaahe bithaakar khilaayein ya baaher bhejein ya dekar jaane dein sab durust hai. Baaher na bhejna ya le jaane na dena ya din me na khaana khilaana ye sab jahaalat hai.


Bahut si jagah kuchh kitaabein parhi aur suni jaati hain, jinko mannatein aur muraadein puri hone keliye zaruri samjha jaata hai, jaise "Daastaan-e Ajeeb" , "Lakadhaare ki kahaani" , "10 bibiyo ki kahaani" , "Janaab-e Syeda ki kahaani" waghaira, in kitaabo mein jo kuchh hai usme se aksar ya sab be dalil aur be suboot hai. Inse parhez kiya jaaye. Ulama-e Ahl-e Sunnat ki mo'tabar kitaabo se Allaah waalo ke waaqi'aat aur nek aurato ki baatein sunein aur sunayein to achchha hai.
- Mufti Muhammad Shahid Qaadiri, Barkaati, Razwi, Azhari


Is mazmoon ko tayyaar karne mein badi mehnat ke sath Ulama-e Ahl-e Sunnat ki kayi kitaabo se madad li gayi hai, isko khoob phailayein aur mahfooz rakhein, aur is faqeer ko apni nek du'aon mein zarur yaad rakhein
.

Kunde Ki Haqeeqat:

22 Rajjab Imame Jafar Sadiq Radiyallahu Anhu Ki Niyaz:

Hijri San 122 Rajjab ki 22  tarikh ki raat yani 21 ka din guzarkar 22 ki raat b'waqte namaze tahajjud Allah paak be syedana imame JAFAR Sadiq radiyallaho anho  ko MAQAAM E GHOUSIYAT E KUBRA ata farmaya, Subhe 22 rajjab ko Aap ne allah k janib se ye azim ne'mat Milne Par batore shukr ada karne k lie niyaz banwayi Jo dudh or chawal milakar banayi gayi jise hum khir kehte hai.

Aap khaandane Rasool sallallahu alaihi sallam ke chashmo chirag hai aap k ghar me tuti chatayi or mitti k bartan hi the isi par Aap shakir o sabir the  Aap mitti k piyale me niyaz rakhkar apne dost o ahbab ko bulakar farmaya k Aaj raat Allah paak ne mujhe maqame gousiyat e kubra ata farmaya isi ka shukr ada karte huwe ye niyaz aap logo ko pesh karta hu.

Aap k sahabzade imam e MUSA KAZIM  radiallahu anhu aur aap k digar musahebeen ne daryaft kiya (puchha)k is me hamare lie fayida hai ?
Aap ne farmaya k Rabbe kaba ki qasam Allah ne Jo ne'mat mujhe Ata farmayi jis ka me shukr ada karta hu niyaz ki Shakl me isi tarah  isi tarikh me Jo bhi shukr ada karega aur hamare wasile se Jo duwa mangega to Allah pak uski murad zarur puri farmaega aur duwa zarur qabul hogi  Q ki Aallah paak apne  shukr guzar bando ko mayus nahi farmata
🌹🌹subhanallah🌹🌹

Imame JAFAR Sadiq radiyallahu anhu k parpote Syedna Imam e HASAN askari radiyallaho anho se kuch dushmane ahle bait ne sawal kiya ke jab hamare ghar me pital tanbe k behtarin bartan mojud hai to mitti k Kudo ki kiya zarurat hai ?
Aap ne farmaya  hamare NANA JAAN muhammad ur rasulallah sallallahu alaihi wa sallam ki sunnat hai mitti k baratan me khana. Aaj musalmano ne hamare Nana jaan ki  sunnato ko tark kar diya hai  hum ne is niyaz ko mitti k piyalo me is lie zaruri karar diya ta-kee kam az kam saal me ek 1 marata hi Nana jaan ki ummat mitti k kundo me niyaz khakar  sunnate rasul sallallahu alaihe wa sallam ada hojaye

Kunde Ka Fatiha 22 Rajjab Ko Kare :
22 Rajjab Na Hi Aap Ke Wisal Ki Tarikh Hai na Hi Paidayishi Tarikh, Ye to Aapko Maqam e Gausiyat-e-Kubra Milne Par Ada Ki Jati Hai.

Nasab Sharif Hazrat Imam Jafar Sadiq Radiallahu Anhu:

Hazrat syed imam jafar Sadiq ibne imam e baqar ibne Imam e Zainul aabedin ibne IMAM E HUSSAIN radiyallaho ta'ata alaihim ajmayin
🌹🌹 subhanallah🌹🌹

👆👆Yeh Sab Bate 👇👇 in Kitabo Se Sabit Hai:

1: minhajussalehin+ musannif - saiyadana Imam Mohiyuddin ibne Abu Baker Baghdad
2: kashaful Asrar - Syedana Imam abdullah bin Ali asfahani
3: Madame As rare ahle bait - Syedana Imam Mohammad bin Ismail muttaqi makki
4: Makhzane anware wilayat - syedana imam Burhnuddin asqalani
Sidq Sadiq ka tasadduq sadiqul Islam kar
Be gazab razi ho Kazim aur Raza k waste

कुंडे की नियाज की हिकमते (Kunde Ki Niyaz Ki Hikmatain):

  • सबसे पहले तो अल्लाह के रसूल की मिट्टी के बर्तन में खाना खाने की सुन्नत जिंदा होती हे हर साल
  • पाडोसी यो को दावत देने की सुन्नत अदा होती हे
  • जिक्रे अहले बैत ( इमाम ए जाफर सादिक ) रदीअल्लाह अनहो से घरो में बरकते नाजिल होती हे
  • अल्लाह और उसके रसूल की रजा हासिल करने का जरिया बनती हे
  • आस पास के लोगो में एक दुसरे की मुहब्बत पैदा होती हे
  • छोटे छोटे बच्चे खुश होते हे जिस से घर में एक रोंनक दार माहोल पैदा होता हे
  • इस नियाज पर अल्लाह का कलाम पढ़ा जाता हे जिसकी बरकत से घर के लोगो की जिस्मानी और रूहानी तकलीफे दूर होती हे
  • दोस्तों में एक दुसरो को घर दावत देने से दोस्तों की दोस्ती भी गहरी और मुहब्बत भरी रहती हे
  • मोहल्लो में एक बाबरकत और नुरानी माहोल रहता हे
  • एतराज करने वाले भी चुपके चुपके ये नियाज खाते हुवे पकडे जाते हे इन दिनों में
  • इस नियाज की बरकत से रोजी में भी बरकत का सबब बनती हे
  • अहले बैत की मुहब्बत बढती हे और उनका फैज हासिल होता हे
  • मौला अली रदीअल्लाह अनहो और सैय्यदा फातेमा जोहरा रदीअल्लाह अन्हा और बारा इमामो की खुशुशी निगरानी रहती हे हम पर
  • हुजुर को मीठा पसंद हे ये सुन्नत भी अमल हो जाता हे
  • और कोई भी सख्स ये नियाज का जिक्र कुरान और हदीश में कहा हे ये पूछे तो सिर्फ उस से एक ही सवाल करना की चलिए आप बताइये की इसका नहीं करने की दलील कुरान - हदीश से बता क्यों की हदीश ए पाक में आया हे की "जो सख्स दावा करने वाला हे वो दलील पेश करे न के वो सख्स जो अमल कर रहा हे".

Related Post:

Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.