Hazrat Ali R.A Ka Roab Wa Dabdaba Jungli Sheron Aur Darindon Per

ShereKhudaHazratAli.com

ﺃﻋﻮﺫ ﺑﺎﻟﻠﻪ ﻣﻦ ﺍﻟﺸﻴﻄﺎﻥ ﺍﻟﺮﺟﻴ
بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام عليك يارسول الله 

Shere Khuda Hazrat Ali Radiallahu Anhu Ka Roab Wa Dabdaba Jungli Sheron Aur Darindon Per
Allahumma Salle 'Ala Syedina Mohammedin Wa'Ala Al-li-hi Syedina Mohammadin Wa Barik Wa Sallim.

"Ala Inna Awliya Allahi la Khauf-un Alaihim wa Lahum Yah-Zanoon"

* HAZRAT ALI RADIALLAHU TA'ALA ANHU KI KARAMAT *

Buzurgan e Deen Ki Karamat or Wakeyaat, hazrat ali r.a ki karamat, Islam stubs, Islamic Images, Islamic termino, Miracle by aulia, supernatural wonders by saintly Muslims, The scientific miracles of Islam, maula ali ke kisse
Ek Shaks Ne Hazrat Ali Radi-ALLAHU-TA'AALA-Anhu Se Arz Kiya Ki Janab Mera Irada Safar Ka Hain! Magar Main Jungli Darindon Se Darta Hoon! Aapne Use Ek Anghuti Deker Farmaya: 

Jab Tere Nazdiq Koi Khaufnaak Jaanwar Aayen To Fauran Keh Dena Ki Yeh Ali Ibne Talib Ki Anghuti Hain! 

Iske Baad Us Shaks Ne Safar Kiya Aur Ittefaaq Se Raah May Ek Jungli Darinda Usper Hamla Karne Dauda! Usne Pukaarker Kaha: 
Aye Darinde! Yeh Dekh Mere Paas Ali Ibne Taalib Ki Anghuti Hain! Darinde Ne Jab Hazrat Ali Ki Anghuti Dekhi To Apna Sir Aasmaan Ki Taraf Uthaya Aur Fir Wahan Se Daudta Hua Kahin Chala Gaya!

Yeh Musafir Jab Safar Se Wapas Aaya To Isne Saara Kissa Hazrat Ali Ko Sunaya,To Aapne Farmaya: 
Us Darinde Ne Aasmaan Ki Taraf Mooh Karke Yeh Kasam Khayi Thi Aur Kaha Tha Ki Mujhe Rab Ki Kasam! 
Main Is Ilaake May Bilkul Hargiz Na Rahoonga Jisme Log Ali Ibne Taalib Ke Saamne Meri Shikayat Karen!
(Nujjahtul Majalis Jild 2, Pg-351)

SABAK :
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.