Sohbat (Sex) Ka Islami Tarika Part-1 | Humbistari Ka Sunnat Tariqa

ShereKhudaHazratAli.com
Sohbat (Sex) Ka Islami Tarika सोहबत करने का इस्लामी तरीक़ा: Aaj Is Article Me Hum Apse Share Karenge Sohbat Ka Islami Tarika or Humbistari Ka Islami Tariqa, Humbistari Ka Sunnat Tariqa, Hambistari Ka Sunnat Tariqa, Shadi Ki Pehli Raat Yani Suhagraat Ka Tarika, Shadi/Nikah Ki Pehli Raat Ki Namaz Ki Niyyat, Tarika Or Dua, Sohbat Ki Dua / Humbistari Ki Dua With Urdu and Hindi Tarjuma, Inzal Yani Mani Nikalte Waqt Ki Dua, Biwi Se Sohbat Ke Masail Wa Adaab, हमबिस्तरी का इस्लामी तरीका हिंदी hindi, Sunnat or Islamic Tarika Hadees Sharif Ki Roshni Mein.

Sohbat(صحبت) Yani(Meaning) Shohar or Biwi(Husband and Wife) Ke Bich Jinsi Mail Milaap(جنسی میل ملاپ) Ya Jinsi Rabita(جنسی رابطہ) ko Kaha Jata Hai, Sohbat(صحبت) Ek Urdu Lafz(Word) He Jisko Humbistari(ہم بستری), Mubashrat(مباشرت), Arabic Mein Jima Ya Al-Jima(جماع/الجماع), Hindi Mein Sambhog(संभोग), Aur English Mein Intercourse or Copulation Bhi Kaha Jata Hai.

Sohbat Ka Islami Tariqa, सोहबत करने का इस्लामी तरीक़ा, Sohbat Ki Dua, Humbistari Ki Dua Including Humbistari Ka sunnat Tariqa, Biwi Se Sohbat Ka Tarika, Masail With Mubashrat Ka Islami Tariqa, Suhagraat Ka Islami Tarika

Sohbat (Sex) Ka Islami Tarika | सोहबत करने का इस्लामी तरीक़ा | Humbistari Ka Sunnat Tariqa Aur Sohbat Ki Dua | Humbistari Ki Dua:

Shadi (Nikah/Wedding) karna sunnat hai aur islam ka ek hissa hai. Isliye har insan ko shadi karna chahiye. Bagair kisi jaiz wajah ke agar koi shaadi nahi kar raha ya der se kar raha hai to ye islam ke khilaf hai.

Jin logo ki shadi hone wali hoti hai, unme se bahut se logo ke dimaag mein kuch sawal hote hain ki islam ke hisab se shaadi ke baad ki pehli raat ko kya karna chahiye, ya iska sahi tarika kya hai.

Hum yaha pehli raat ki kuch baat karege, lekin ye baat sirf islam sikhne ki niyat se padhiye, dil mein kuch gandagi na rakhiyeaur na koi galat comment karna. Hamara maksad sirf un logo ko islam ka tarika batana hai jinko is baare mein maalumaat kam hai.

Nikah/Shadi Ki Pehli Raat Ki Namaz ka Tarika, Niyat or Dua:

Jab Dulha or Dulhan kamre mein jaye or tanhayi ho to behtar yeh hai ki sabse pehle Dulhan or Dulha dono Wuzu karle or fir Jaa-Namaz ya koi paak kapda bicha kar Do(2) Rakat Namaz Nafl-e-Sukrana Padhe. Agar Dulhan Haiz ki haalat mein ho to Namaz na padhe lekin Dulha jarur padhe. (Namaz is tarah padhiye (jamat bana kar) ki ladka aage imam ban kar khada ho aur ladki uske piche khade ho jaaye. Dono saath namaz padhe.)

Hadees Sharif:
Hazrat Abdullah ibne Mas'ud Radiallahu Anhu farmate hain, "Ek shakhs ne unse bayaan kiya ki maine ek jawaan ladki se Nikah kar liya hai aur mujhe andesha hai ki woh mujhe pasand nahi karegi". Hazrat Abdullah bin Mas'ud Radiallahu anhu ne farmaya, "Muhabbat wa Ulfat Allah ki taraf se hoti hai or Nafrat Saitan ki taraf se, Jab tum apni Biwi ki paas jao sabse pehle usse kaho ki woh tumhare piche Do(2) Rakaat Namaz padhe In Sha Allah tum use Muhabbat karne wali or Wafa karne wali paoge".
[Gunyatuttalebin Baab-5, Safa-115]

Niyat ki maine 2 rakat namaz nafil shukrane ki, waste Allah ta’ala ke rukh mera kaaba sharif ke taraf "Allahu Akbar".

fir humesha jaise namaz padhte ho waise hi namaz padhe Aur namaz ke baad Shadi/Nikah saath kheriyat se hone ke liye Allah ka shukr ada kijiye aur ye dua kariye ki Allah is shaadi ko kaamyab banaye, aage bhi hansi-khushi rakhe, bacche nek de, aur is tarah bhi dua kar sakte hain...

Dua ke pehle durood sharif padh lijiye.
“Ae ALLAH! Tera Shukra wa Ehsan hai ki tune hume ye Din dikhaya aur hume is Khushi wa Ne’amat se nawaza aur hume apne pyare Habib Hazrat Muhammad Mustafa sallallahu Alaihi Wasallam ki Sunnat par amal karne ki taufiq ata farmayi. Aye Allah! hamari is khushi ko hamesha isi tarah kaayam rakh, hume Mel-Milaap, Pyar wa Muhabbat ke sath Ittefaq wa Ittehad ki zindagi gujarne ki taufiq ata farma. Ae Rabbe Qadir! Hume Nek, Saaleh aur farmabardar aulad ata farma. Ae Allah! Mujhe isse or isko mujhse Rozi ata farma aur hum par apni Rehmat hamesha kaayim rakh or hume iman ke sath salaamat rakh". AAMIN aur iske alawa jo bhi aap shaadi ki kaamyabi ke liye dua karna chahe kar sakte hain. Dua ke pahle aur aakhir mein darud sharif padh lijiye.

Shab e Zafaf | Nikah | Shadi Ki Pehli Raat yani Suhagrat Ki Dua Or Tariqa:

Namaz or Dua padh lene ke baad Dulha Dulhan sukoon wa itminan se beth jaye. fir uske baad Dulha apni Dulhan ki peshani(forehead) ke thode se baal apne sidhe haath mein Narmi ke sath Muhabbat bhare andaaz mein pakde or yeh Dua Padhe:

"Allahumma in’ni as’a’luka min khai’riha wakhai’ri ma fiha wakhairi ma jabalta’ha alai wa a’udhu bika min shar’riha washar’ri ma fiha wa sharri ma jabalta’ha alai."
Tarjuma(Meaning): "Ae Allah! Main tujhse is (Biwi) ki bhalayi aur Khair wa Barkat mangta hoon aur iski fitri aadato ki bhalayi or teri panaah chahta hoon iski buraayi aur fitri aadato ki buraayi se."

Hadees Sharif:
Hazrat Umra bin Shoaib Raziallahu Anhu se riwayat hai ki Sarkare Aalam Hazrat Muhammad Mustafa Sallallahu Alaihi Wasallam irshad farmate hain, "Jab koi shakhs Nikah(Marriage/Wedding) kare or Pehli Raat(Suhagrat) ko apni Dulhan ke pass jaye to Narmi ke sath uski peshani ke thode baal apne sidhe hath mein lekar yeh Dua padhe". (wahi Dua jo hum upar bayaan kar chuke)
[Abu Dawood Sharif Jild-2, Baad-123, Hadees-393, Safa-150, Hisn e Haseen Safa-164]
[Bukhari Sharif Jild 3, Safa 473]

Note: Peshani ke baal pakad kar dua karne se pahle apni biwi ko ye bata sakte hain ki ye hamare aaqa Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwsallam) ka hukm hai, warna jis ladki ko nahi maalum ho wo kuch galat na sochne lage.

Shab e Zafaf | Nikah | Shadi Ki Pehli Raat yani Suhagrat Ki Dua ki Fazilat:

Shab e Zafaf (Suhagrat) ke roz is Dua ko padhne ki fazilat mein ulma-e-kiraam irshad farmate hain, "Allah Rabbul Izzat uske padhne ki barkat se Miya Biwi ke darmiyan Ittehad wa Ittefaq aur Muhabbat kayeem rakhega aur Aurat mein agar buraayi ho to use dur farma kar uske zariye Neki felayega aur Aurat hamesha Shohar ki khidmat guzaar wafadar aur farmabardar rahegi."

Agar hum is Dua ke maano (Meaning) par gaur kare to hum payenge ke isme hamare liye kitne Aman wa Sukoon ka paigam hai. Yeh Dua hamein dars deti hai ki kisi bhi waqt insan ko Yaad-e-Ilahi se gaafil nahi hona chahiye balki har waqt, har mamle mein Allah ki Rehmat ka talabgaar rahe. Lihaza is Dua ko Shadi ki pehli raat (Suhagrat) ko jarur padhe.

Sohbat (Sex) Ka Islami Tarika | Humbistari Ka Sunnat Tariqa | Shadi Ki Pehli Raat Ka Tarika | Suhagrat Ka Tarika:

Namaz ke baad kisi bhi kaam mein jald-baazi na karen, balki ladki se is tarah baat kariye ki uski thodi jhijhak door ho jaaye. Thoda apne baare mein baat kariye thoda uski suniye.

Sohbat se pehle khud bechain na ho jaye apne aap par pura itminan rakhe jaldbaji na kare pehle biwi se Pyar Muhabbat ki batchit kare fir bos wa kinar (Kiss) wagaira se usko razi kare aur isi duran dil hi dil me ye dua padhe: "Bismillahil Aliyul Azime Allaho Akbar Allaho Akbar"
Tarjuma(Meaning): "Allah ke nam se Jo Buzurg wa Bartar Azmat wala he. Allah bahot bada he, Allah bahot bada he.

Iske bad jab mard, Aurat, Sohbat ka irada kar le to kapde jism se alag karne se pehle ek martaba "Surah Ikhlas" Padhe:
"Kul Huwallahu Ahad, Allahussamad, Lam-Yalid Walam Yoolad, Walam Ya Kullahu Kufuwan Ahad."
Surah ikhlas padhne ke bad ye Sohbat Ke Pehle Padhne Ki dua padhe:

Sohbat Ki Dua | Humbistari Ki Dua | Jima Ki Dua:

"Bismillahi Allahumma jannib nash shaitana wa janne bish shaitana ma rajak tana."
Tarjuma(Meaning): "Allah ke naam se suru(start/begin) karta hoon. Ae Allah! Hame shaitan se Mehfooz farma aur Jo Aulad hame de shaitan ko usse door rakh"
[Bukhari sharif, Jild 3, Safa 473]
[Muslim Sharif]

Huzoor Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, "Yeh Dua padh lene ke baad agar Allah unhe Aulad se nawazega to shaitan wagaira unhe kabhi nuksan nahi pahochayenge".

Note: Ye yaad rakhiye ki jo peshani ke baal pakad kar dua karna hai wo sirf pehli raat mein hi padhna hai aur ek hi baar padhna hai, lekin ye waali dua (“Bismillahi Allahumma jannib nash Shaitana, wa Janni bish-Shaitana ma razaq tana") aapko hamesha padhna hai, jab bhi biwi ke saath sone ka irada ho usse pahle is dua ko padhna zaruri hai, chhoti si dua hai, 4-5 baar padhne se yaad ho jaayegi, agar is dua ko padhe bagher aap biwi ke saath sote hain to ho sakta hai ki shaitan/jinn bhi aapke saath-saath aapki biwi se sohbat kar le. Is dua ko padhne se Allah hifazat farmata hai.

Hazrat ibne Abbas Radiallahu Anhu se Riwayat he ke Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam ne irshad farmaya, "Jo shaks is dua ko Sohbat ke waqt padhega (Dua wahi jo upar likhi he) to Allah us padhnewale ko agar Aulad ata farmaye to us Aulad ko Shaitan kabhi bhi nuksan na pahuncha sakega.
[Bukhari sharif Jild 3,Safa 85, Tirmizi sharif, Jild 1, Safa 557]

Huzoor Gause Aazam Saiyedna Shaikh Abdul Qadir Jilani wa Hazrat Muhkkike islam shaikh Abdul haq mohoddas dahalwi aur Aala hazrat imam Ahmad Raza Khan irshad farmate he, "Agar koi shaks sohbat ke waqt dua na padhe to us shaks ki sharmgah se shaitan lipat jata he aur us mard ke sath shaitan bhi us Aurat se sohbat karne lagta he. Aur jo aulad paida hoti he woh na farman,buri aadatwali,Begairat, Bad-deen hoti he. Shaitan ki is dakhl andaji ki wajahse Aulad me Tabahkari aa jati he"
(Gunyatuttalebin Safa 116, Fatwa-E-Razviya, Jild 9, Safa 48)

Inzal ki Dua (Mani Nikalte Waqt ki Dua): 

Jis waqt inzal ho yani mard ki Mani uske Uzoo-E-Tanasul se nikal kar Aurat ki Sharmgah me dakhil hone lage us waqt dil hi dilme ye dua padhe:
"Allahumma-La-Taja'al Lish Shaitane Fi-M-Razkatni Nasi-ba"
Tarjuma(Meaning): "Ae Allah! Shaitan ke liye hissa na bana usme Jo(Aulad) tu hume ata kare".)
[Hisn e Haseen Safa 165, Fatwa-E-Razviya Jild 9, Safa 161]

Sohbat Ke Masail | Humbistari Ke Masail:

  • Hazrat Ibne Abbas Radiallaho Anhu Se Riwayat He Ke, Huzoor Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Gawaho Ke Bagair Nikah Karnewali Aurate Jaaniya ( Zina Karnewali ) Hain.[Tirmizi Sharif, Jild : 1, Safa:563, Hadees No.1095, Baab No.751]
  • Huzoor Sayyedna Gaus e Aazam Sheikh Abdul Qadir Jilani Radiallahu Anhu Farmate Hai, Nikah Jumerat ( Thursday ) Ya Jumma ( Friday ) Ko Karna Must'hab He Aur Subah Ki Bajaye Sham Ke Waqt Nikah Karna Behtar Hain.
    [Gunyatuttalebin, Baab No.5, Safa:115]
  • Jis Kisine Sohbat Ki Bate Logo Me Bayan Ki Uski Misal Aisi He Jaise Shaitan Aurat Shaitan Mard Se Mile Aur Logo Ke Samne Hi Khule Aam Sohbat Karne Lage.
    [Abu Dawood, Jild : 2, Hadees No. 407, Safa : 155,baab No. 127]
  • Aaqa Sallalaho Alayhi Wasallam Ne Irshad Farmaya, Allah Ki Laanat Bad Nigahi Karnewale Par Aur Jiski Taraf Bad Nigahi Ki Jaye.
    [Bayhaqi Sharif, Mishkat Sharif, Jild:2, Safa:77]
  • Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya, "Tum me se jo koi apni Biwi ke pas jaye to Parda kar le aur Gadhe ki tarah na shuru ho jaye."
    [Ibne Maja, Jild 1, Safa 538, Hadees No-1990, Baab No-616]
  • Ummul Momineen Hazrat Aayesha Siddiqa Radiallahu Anha se Riwayat he ki Huzoor Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya, "Jo Mard apni biwi ka hath usko behlane ke liye pakadta he, Allah ta'ala uske liye 1 neki likh deta he, Jab mard pyar se Aurat ke gale me hath dalta he uske haq me 10 nekiya likhi jati he, Aur jab Aurat se Sohbat karta he to Duniya aur jo kuch usme he un subse behtar ho jata he".
    [Ghunyat ut Talibeen Safa-113]
  • Madni Aaqa Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, "Jisne Aurat ya Mard se uske piche ke mukam se sohbat ki usne yakinan kufr kiya".
    [Abu Dawood Sharif]
  • Hazrat Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, ALLAH Qayamat ke din aese shaks ki taraf nazre rehmat nahi farmayega. Jisne apni Aurat ke piche ke raaste se sohbat ki.
    [Bukhari Sharif, Tirmizi sharif, Ibn Majah Sharif]
Note: Isliye biwi ke saath jaanwaro jesa kaam na karen, short mein mera matlab hai ki porn movies jesa kuch na karen. Balki sirf islami tarike se saath mein soiye.

10 Tips for a Happy Married Life - Based On Quran and Hadith:-

We have not seen anything that creates LoVe between two individuals such as nikah".

01. FEAR ALLAH:- 
(Al Nisa 14, Al Ahzab 69, Aali Imran 101).

02. NEVER BE ANGRY AT THE SAME TIME:-

03. IF ONE HAS TO WIN AN ARGUMENT, LET IT BE THE OTHER:-
(Mishkat pg.412).

04. IF U HAVE to CRITICIZE, DO IT LOVINGLY:-
(Abu Dawood vol 2, pg 325 imdadiya) (Advice with Dignity & Silently).

05. NEVER SHOUT AT EACH OTHER UNLESS THE HOUSE IS ON FIRE:-
(Surah luqman19).

06. NEVER BRING UP MISTAKES OF THE PAST:-

07. NEGLECT THE WHOLE WORLD RATHER THAN YOUR MARRIAGE PARTNER:-
(Nasai 2391).

08. NEVER SLEEP WITH AN ARGUMENT UNSETTLED:-
(Bukhari 602).
(Abu Dawud pg. 662).
(Tirmidhi 2499)

There are many ways of increasing love between the couple, consider the following these 10 points to maintain a happy marriage & control d instincts of dispute...

Kuch Log Esi Baatein Aalimo Se Puchne, Kehne Or Sunne Me Sharm Mehsoos Karte Hain, Or Social Media, Internet Ya Galat Jagah Se Galat Baatein Jaan Kar Galat Tarika Iktiyar Kar Lete Hain Isliye Is Post Ko Zyada Se Zyada Share Kare Taaki Jo Log Sharm Ki Wajah Se Shariat Ki In Baato Ko Nahi Jaan Pate Un Tak Bhi Ye Baatein Pahoch Sake. Or Unka Aur Hamara Har Amal Shariat Aur Sunnat Ki Roshni Me Ho.

Allah Ta'ala Hame Kehne Sunne Se Zyada Amal Ki Naik Tofik Ata Kare...Aameen
Cookie Consent
We serve cookies on this site to analyze traffic, remember your preferences, and optimize your experience.
Oops!
It seems there is something wrong with your internet connection. Please connect to the internet and start browsing again.
Site is Blocked
Sorry! This site is not available in your country.